Split AC raat mein sahi chalta hai Aur din Mein compresser trip ho jata hai
Compresser din Mein trip hone ke kya reason Hai jabki Raat mein sahi chalta hai aaj complete ham explain Karne Wale Hain samajhne Wale Hain agar aap is post ko pura padhte Hain To aap acche se samajh payenge ki din Mein compresser Kyon trip Hota Hai अलग-अलग reason ki ham baat karenge
1 - Rafrigrant Over Charging
Agar air conditioner system Mein refrigerant over charge ho gaya hai To isase Kya Hota Hai Ki compresser over heat hota hai empier Bhi jyada leta hai aur compresser overheat Hota Hai isliye din Mein compresser over hit hokar ke trip Hota Hai , jabki Raat Mein temperature down hone ki vajah se compresser Thanda Hota rahata Hai Aur Raat mein Ac Sahi chalta hai
Agar aap yah practical video dekhna Chahte Hain to hamare YouTube channel per visit kar sakte hain YouTube mein aapko search karna hai
Amresh11 Tech
2 - Capillary Choking
Agar air conditioner system ki capillary joke hai dry filter chauk hai Uske vajah se bhi compresser over hit Hota Hai lekin yahan per samajhne wali baat hai ki agar dry filter aur capillary ful joking hoga to raat mein bhi trip Hoga Aur din Mein Bhi trip Hoga lekin agar aadha chauk Hai matlab refrigerant pass ho raha hai aadha to Raat Mein To thandak ka samay hota hai temperature down hota hai jiske vajah se raat mein sahi chalta hai compresser lekin din Mein garmi jyada hoti hai
Sunlight see the outdoor ke upar aata hai jiske vajah se compresser over hit Hota Hai Aur din Mein trip ho jata hai
3 - Outdoor Fan Motor
Agar outdoor ka fan motor Nahin chal raha hai ya FIR slow chal raha hai uske vajah se bhi compresser over hit Hota Hai ise bhi ham acche se samajh lete Hain Ki outdoor fan motor se aur compresser Se Kya relation hai
Kyunki jab refrigerant compressors ke discharge se nikalta hai aur condensar mein Jata Hai To condensar Mein vapor form Mein Hota Hai jiske vajah se condensar mein refrigerant bahut jyada garm Hota Hai usi garmi ko Thanda karne ke liye outdoor fan motor lagaya jata hai agar outdoor condensar fan motor Nahin chal raha hai to Jo condensar Ki garmi hai vah bahar Nahin nikal payega Aur compresser Ke upar load padega jisse compresser empier jyada lega aur compresser over hit hokar ke trip hoga
Agar aap yah practical video dekhna Chahte Hain to hamare YouTube channel per visit kar sakte hain YouTube mein aapko search karna hai
Amresh11 Tech
4 - Outdoor ka ganda hona
Agar split AC ka outdoor agar dusty hai aur vah service Nahin hua Hai To Uske vajah se bhi compresser over hit hokar ke trip Hota Hai jaise ki outdoor system mein jo dust hota hai vah outdoor condensar Mein hi hota hai jaise ki outdoor ka condensar piche se hawa khinchta hai aur samne se fenk deta hai jo fan motor Laga Hai usi Tarah Se Kam Karta Hai piche Se hawa khinchta hai aur samne se fenk deta Hai jisse condensar Mein Jo refrigerant hit hai use Thanda karne ke liye control karne ke liye vah fan motor lagaya jata hai agar vah Drishti hai to air khinch Nahin payega aur refrigerant jo garm hai condensar qual ko Thanda nahin kar payega
Jiski vajah Se compresser Ke upar fir se load padega aur compresser over hit hokar ke trip hota hai jabki aisa Raat Mein jyadatar Nahin hota hai kyunki raat mein temperature down hone ki vajah se compresser trip Nahin Hota Hai Raat Mein
0 Comments