Air conditioner Mein बार-बार gas charge karvana padta hai problem Se Kaise bache
Yah Ek chhota hi shuru Hai Lekin Kisi kisi ke sath mein yah problem face Karne Ko milta Hai jaise ki kuchh log mujhe message kiye Hain Ki har 4 mahine Mein mujhe gas charge karvane padti hai aakhir yah funda kya hai
Air conditioner system Mein Ek bar gas charge kar diya jaaye to kitne dinon tak chalta hai kya har 4 mahine mein ya FIR 6 mahine Mein ya FIR 1 sal mein gas khatm ho jata hai
Aisa bilkul bhi nahin Hota Hai air conditioner system Mein jab tak gas likhna Ho matlab copper pipe agar kahin Se leakage Na Ho To Kabhi Bhi Puri life mein kabhi bhi gas system se bahar Nahin nikalega
Ab samajhne wali baat yah hai ki kya technician sach mein gas charge Karke jaate Hain yah Janna bahut jaruri hai kyunki kuchh technician aise Bhi Hain Jo ki refrigerant cylinder ko air conditioner ke sath attach Karte Hain aur sach mein gas charge Nahin Karte Hain fir bhi apna service charge lekar Ke chale jaate Hain
Isase bachne ke liye aap kaise pahchan kar sakte hain kya sach mein gas charge Hua Hai iske liye main video banaa rakha hun aap live aap dekh sakte hain video mein ki agar gas charge ho raha hai system mein To dekhne Mein Kya feel Hota Hai uske liye Aap hamare YouTube channel per visit kar sakte hain jo ki YouTube name main niche de raha hun ise aap ko YouTube mein search karna hai aur hamare channel per recently video upload hua hai use aap dekh sakte hain YouTube channel name
Amres11 Tech
Artical ko aage Bhi read Karen
Agar system Mein gas charging ho raha hai to aap Is Tarah Se pahchan sakte hain agar mananiy aapke air conditioner system mein bilkul bhi gas Nahin Hai To gauge ki sui zero per rahegi agar maniye aapke system mein aadha gas hai to usmein kam se kam 30 ka pressure hoga jab Bhi technician gas charge kar raha hoga jab Bhi gauge kholega to gauge ki sui bahut teji se upar ki taraf jayegi tab aap samajh payenge ki system Mein gas charge ho raha hai
Ek step gas charge hone ke bad pahle to 30 ka pressure tha ab yahan per 35 ka pressure ho jaega FIR dusre state mein 40 ya FIR 45 ka pressure ho jaega teesre step Mein 60 ka pressure ho jaega Is Tarah Se agar gauge Mein pressure badh Raha Hai To fir aap samajh sakte hain ki han gas charge ho raha hai
Important jankari gas charging se related
Air conditioner system Mein gas charge hone se pahle dekh le gauge lagakar ke ki Pahle Se Kitna pressure Hai air conditioner system mein gas charge hone ke bad fir se dobara dekhen Ki ab air conditioner system Mein Kitna pressure hai agar pressure Adhik bata raha hai Pahle Se To fir aap samajh jaaiye ki gas charging ho chuka hai
Agar pahle Jitna pressure tha aur utna hi pressure ab Bhi Hai gas charge hone ke bad bhi To fir samajh jaaiye system Mein gas charging Nahin Hua Hai
0 Comments